This is just a friendly verbal joust between me and a buddy of mine that I really liked...
ME: Banna tha philosopher bane chale hum engineer, pataa nahin kaise kategi zindagi jab katthe nahin yeh do year
HIM: Dil se nikala hua har shabd sher ban jata hain... "arbit" hi sahi par dil ki baat bol jata hain
ME: Dil ki baat bolne ke liye hi to sher chaahiye re...kambakht dil bhi aisa hai ki bol nahin paata usme kya chupaa hai
HIM: Ye sher-sher khelne ki tarkeeb teri...kahin orkut ke server pe pad na jaye bhari
ME: Abey sirf orkut ne hi to meraa diyaa hai saath...chahe khushi ho ya gum, din ho ya raat
HIM: Saath dene ki tu baat mat kar...gum ko mitane ke liye rum tere sath rahi hain tera saya bankar
ME: Sharaab, shabaab aur kabaab is umar mein nahin to kab karegaa...ek baari jawaani chhod gayi to tu kya jiyegaa aur kya maregaa
HIM: Jawan dil se raho, husna se nahi...yeh jawani is dil se hain sharab aur shabab se nahi
ME: Jawaani ko dil mein rakh ke tum kya paaoge...ghadi ki sooyion mein ghoomte reh jaaoge
HIM: Ghadi ki suyian kisi ke liye thamti nahi kabhi... magar yeh dil ki dhadkan kisi ki ahat ke liye zindagi bhar ke liye ruk jati hain
ME: Dhadkano ke liye hi to ji rahe hain zindagi mere yaar...yeh aahat nahin hoti to na hote tum, na hum, aur na yeh pyaar
HIM: Kehte hain saccha pyaar ek bar zindagi mein karna chahiye...marne se pehle khuda se ek bar milna chahiye
ME: Khuda na is janam mein milenge na milenge iske baad...bas rahegi unke saath kuch meethe lamhein aur bahut saare yaad
HIM: Kuch zindagian kat gaye unki intezaar main...magar woh lamhe na vapas aaye aur hum sawal banke reh gaye aapne aap main
ME: Sawaal hi to reh gaye bas, ab koi jawaab nahin...bahut husn mile humein magar hamaari mumtaaz nahin
HIM: Aye sheron ke dewane tujhya kya pata saccha pyaar kya hota hain...woh toh us shaajan ke dil se puch jo aaj bhi Taj Mahal banke dhadakta hain
ME: Chaahe imaarat ho ya jaan, baazi to lagaani padti hai pyaar mein...tabhi dil se aawaaz nikalti hai ikraar mein
HIM: Yeh mohabbat toh khuda ki pukaar hain, na samjho is ek jua...na samjho koi khel ki baazi warna zindagi ban jayegi ek jua
ME: Khuda to humein bhool chuke hain, aur hum bhool chuke zindagi ko...pyaar humein bhool chuka hai, aur hum dillagi ko
HIM: Khuda kisiko bhulta nahi, woh toh sirf use yaad karta hai jo use yaad kare...dillagi toh husna se hoti aur pyaar man se...kuch log ji lete hain husna ke sahare aur kuch tahe dil se pyaar karke....par dono cheeze kabhi bhool nahi pate bechare....
ME: Yaadein to man ke khel hain, bhoolna ek khoi hui kalaa...khush haal rehne ka raaz hai, ki apne beete hue kal ko bhulaa
HIM: Aadmi jo kehta hai, aadmi jo sunta hai zindagi bhar woh sadaye peecha karti hain.... guzra hua kal to woh lamha hai jise jitna bhulao utna yaad ata hai, use bhulane main hi usko yaad rakha jata hai
ME: Is justaju ne badla nazaara, naye manjil hue praapt...aaj ki yaad poori karein, is soch ko yahin karte hain samaapt

No comments:
Post a Comment